Gardish kay baad…

Leave a comment

Gardish k baad zaat ka mehvar mila mujhay.

Jis se nikal gaya tha wohi ghar mila mujhay.

Zarray k aik juz se khula raaz-e-kayenaat.

Qatray ki wussaton mein samundar mila mujhay.

Kitni ajeeb baat hai jo chahta tha mein.

Qismat se us tarha ka muqaddar mila mujhay.

Main tha k kaifiyaat k pardon mein qaid tha.

Wo tha k her lihaz se khul kar mila mujhay.

Dunia ki wussaton mein Usey dhoondta raha.

Lekin ALLAH meri zaat k andar mila mujhay…

Leave a comment

حدیث قدسی ھےکہ اےابن آدم: ایک میری چاھت ھے

اورایک تیری چاھت

ھے،لیکن ھوگاوھی جومیری چاھت ھے،

اگرتونےسپردکر

دیااپنےآپکواسکے

جومیری چاھت ھے

تومیںوہ بھی تجھے

دوںگاجوتیری

چاھت ھے،پس اگر

تونےمخالفت کی

اس کی جومیری

چاھت ھے تومیں

تھکادونگاتجھ کو

اس میںجوتیری چاھت ھے،پھربھی

ھوگاوھی جومیری

چاھت ھے

Iss Dasht k sehra ko…

Leave a comment

Es dasht k sehra ko samandar kar day

Ya meri ankh k har ashk ko patthar kar day

Aye ALLAH mein or nahi kuch tujh se mangta

Meri chaadar meray pairon k braber kar day

Mujhay ghair na lay ye aatish-e-duniya kahin

Mujh per apni Rehmat ka saya kar day

Mujhay khaak na karday meri hasti ka ghuroor

Mujhay meray nafs se mo’tabar kar day

Aye ALLAH meri duaon may wo asar kar day

Mangu’n may tujh say qatra..

Or TU samandar kar day.

Jab Yaad Teri Aai…

Leave a comment

So baar Chaman Mehka

So baar Bahaar aai

Dunya ki wohi ronaq

Dil ki wohi Tanhai

Yeh Raat ki Khamoshi

Yeh Aalam-E-Tanhai

Phir Dard utha Dil main

Phir Yaad teri ai

Is Alam-E-Veeran main

Kya Anjuman aarai

Do roz ki Mehfil hai

Ek Umar ki Tanhai

Har Dard-E-Mohabat se uljha hai Gham-E-Hasti

Kya kya humain yaad aaya

Jab Yaad teri aai.

Udaas Dil Udaas Baatein…

Leave a comment

Udaas dil udaas batein

Smajhnay wala koi to hota

K jis ki baton se dil sambhalta

K jis ki chahat may dil behalta

Jis ki halki si ik jhalak bhi

Hamaray dukh ko samait deti

Falak se khushian undail deti

Ya uski nazuk si muskurahat

Hamaray din ki sabhi thkawat ko door karti

Ya phir chamakti wo ankhein uski

Hamari hasti ka raz hoti’n

Hamaray dukh ki kitaab hota

Jo ham ko chahta hamko parhta

Guzartay lamhon ki sakhtion main

koi to nazuk mizaj hota.